Apni Ulfat Pe Zamane Ka
Sasural
Lyrics
Apni ulfat pe zamane ka na pehra hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Pyar ki raat ka koi na savera hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Apni ulfat pe zamane ka na pehra hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Paas rehkar bhi bahut door, bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe phir bhi toh hum door rahe
Paas rehkar bhi bahut door, bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe phir bhi toh hum door rahe
Meri raahon mein na uljhan ka andhera hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Pyar ki raat ka koi na savera hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Dil mile aankh mili, pyar na milne paaye
Baghbaan kehta hai do phool na khilne paaye
Dil mile aankh mili, pyar na milne paaye
Baghbaan kehta hai do phool na khilne paaye
Apni manzil ko joh kaanto ne na ghera hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Apni ulfat pe zamane ka na pehra hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Ajab sulagti huyi lakdiyan hai jagwale
Mile toh aag ugalte, kate toh dhuaan kare
Ajab sulagti huyi lakdiyan hai jagwale
Mile toh aag ugalte, kate toh dhuaan kare
Apni duniya mein bhi sukh chain ka phera hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Apni ulfat pe zamane ka na pehra hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Pyar ki raat ka koi na savera hota
Toh kitna acha hota
Toh kitna acha hota
Watch Video