Lyric4U
Apni To Jaise Taise

Laawaris (1981)

Watch Video
Lyrics
Apni to jaise taise, thodi aise ya waise
Apni to jaise taise, thodi aise ya waise kat jayegi
Aapka kya hoga janaab-e-ali
Aapka kya hoga
Apne aage na peeche, na koi upar neeche
Apne aage na peeche, na koi upar neeche ronewala
Na koi ronewali janaab-e-ali
Aapka kya hoga
Aap bhi meri tarah insaan ki aulaad hai
Aap mooh mangi dua hum ansuni fariyaad hai
Aap bhi meri tarah insaan ki aulaad hai
Aap mooh mangi dua hum ansuni fariyaad hai
Woh jinhe sara zamana samjhe laawaris yahan
Aap jaise zalimon ke zulm ki ijaad hai
Gaali huzoor ki to lagti duaon jaisi
Gaali huzoor ki to lagti duaon jaisi
Hum dua bhi de to lage hai gaali
Aapka kya hoga janaab-e-ali
Aapka kya hoga
Aapke maathe se chhalke jo pasina bhi kahin
Aasmaan hilne lage aur kaanp uthe yeh zameen
Aapka to yeh pasina khoon se bhi keemti
Aur apne khoon ki keemat yahan kuch bhi nahin
Apna to khoon paani, jeena marna bemaani
Apna to khoon paani, jeena marna bemaani
Waqt ki har ada hai apni dekhi bhali
Aapka kya hoga janaab-e-ali
Aapka kya hoga
Haan apni to jaise taise, thodi aise ya waise
Apni to jaise taise, thodi aise ya waise kat jayegi
Aapka kya hoga janaab-e-ali
Aapka kya hoga
Apne aage na peeche, na koi upar neeche
Apne aage na peeche, na koi upar neeche ronewala
Na koi ronewali janaab-e-ali
Aapka kya hoga
Watch Video