Lyric4U
Antakshari

Maine Pyar Kiya

Watch Video
Lyrics
Aaja aayi bahaar
Dil hai beqarar
O mere rajkumar
Tere bin raha na jaaye ... aaja
Ja ja ... ja mujhe na ab yaad aa
Ja mujhe na ab yaad aa
O mujhe bhool jaane de ... jaane de
Ja ja ... ja mujhe na ab yaad aa tu
Tumhari nazar kyun khaffa ho gayi
Khatta baksh do agar khatta ho gayi
Hamara iraada toh kuch bhi na tha
Tumhari khatta khud sazaa ho gayi
Ik banjara gaaye
Jeevan ke geet sunaye
Hum sab jeene waalon ko
Jeene ki raah bataye
Ik banjara gaaye ... ho o ho
Haal kaise hai janaab ka
Kya khayal hai aap ka
Tum toh machal gaye ... o o o
Yoon hi phisal gaye ... ah ah ah
Haal kaisa hai janaab ka
Kehat Kabir suno bhai saadhu
Baat kahoon main khadi
Yeh duniya ek numbri
Toh main dus numbri
Yeh duniya ek numbri
Toh main dus numbri
Arre kehat Kabir suno bhai saadhu
Baat kahoon main khadi
Yeh duniya ek numbri
Toh main dus numbri
Yeh duniya ek numbri
Toh main dus numbri
Ramchandra keh gaye Siya se
Ramchandra keh gaye Siya se
Aaisa kalyug aayega
Hans chugega daana dunka
Kauva moti khayega
Aye Ramchandra keh gaye Siya se
Samaa hai suhana suhana
Nashe mein jahaan hai
Kisi ko kisi ki
Khabar hi kahan hai
Har dil mein dekho
Mohabbat jawan hai
Ho o ho ... ho o ho
O Rama O
Hum toh chale pardes
Hum pardesi ho gaye
Hum toh chale pardes
Hum pardesi ho gaye
Choota apna desh
Hum pardesi ho gaye ... ho o ho
Husn ke lakhon rang
Kaun sa rang dekhoge
Aag hai yeh badan
Kaun sa ang dekhoge
Gore rang pe na itna ghuma na kar
O gora rang do din mein dhal jayega
Gore rang pe na itna ghuma na kar
Gora rang do din mein dhal jayega
Main shama hoon tu hai parwana
Main shama hoon tu hai parwana
Mujhse pehle tu jal jayega
O gore rang pe na itna ghuma na kar
Ruk ja ... ruk ja o jaane waali ruk ja
Main toh raahi teri manzil ka
Nazaron mein teri main bura sahi
Aadmi bura nahi mein dil ka ... ruk ja
Jahan main jati hoon wahi chale aate ho
Chori chori mere dil mein samate ho
Yeh toh batao ke tum mere kaun ho
Yeh toh batao ke tum mere kaun ho
Hum toh tere aashiq hai sadiyon purane
Hum toh tere aashiq hai sadiyon purane
Chahe tu maane, chahe na maane
Chahe tu maane, chahe na maane
Hum toh chale aaye sanam tujhko manane
Chahe tu, chahe na
Chahe tu maane, chahe na maane
Naino mein sapna
Sapno mein sajna
Sajna pe dil aa gaya
O sajna pe dil aa gaya
Ta thaiya ta thaiya ... ho o o
Ta thaiya ta thaiya ... ho o o
Dhum tan nan ... dhum tan nan
Dhum tan nan ... dhum tan nan
Arre naino mein sapna
Sapno mein sajni
Sajni pe dil aa gaya
Ke sajni pe dil aa gaya
Yeh public hai public babu
Yeh joh public hai yeh sab jaanti hai
Public hai
Aji andar kya hai
Aji bahar kya hai
Andar kya hai, bahar kya hai
Yeh sab kuch pehchanti hai
Public hai yeh sab jaanti hai
Public hai
Honthon mein aaisi baat
Honthon mein aaisi baat
Main dabba ke chali aayi
Khul jaaye wohi baat
Toh duhai hai duhai
Haan re haan
Baat jis mein pyar toh hai
Zehar bhi hai ... haan
Honthon mein aaisi baat
Main dabba ke chali aayi
Khul jaaye wohi baat
Toh duhai hai duhai
Inteha ho gayi intezar ki
Aayi na kuch khabar mere yaar ki
Yeh hum mein hai yakeen
Bewaafa woh nahin
Phir wajah kya hui intezar ki
Kaate nahin kat te yeh din yeh raat
Kehni thi tumse joh dil ki baat
Lo aaj main kehti hoon
I love you
I love you
I love you
I love you
I love you
Watch Video