Lyric4U
Aisa Zakhm Diya Hai

Akele Hum Akele Tum

Watch Video
Lyrics
Aaya hoon yaaron dil apna deke
Aankhon mein chehra kisi ka leke
Woh dil ka qatil dilbar hamara
Jiske liye main hua awaara
Milte hi jisne chooma tha mujhko
Phir na palat ke dekha dobaara
Aur issi liye doston maine faisla kiya
Ke phir kabhi kisi se pyar nahi karoonga
Kabhi kisi ladki ko apna dil nahi doonga
Aisa zakhm diya hai joh na phir bharega
Har haseen chehre se ab yeh dil darega
Hum toh jaan dekar yoon hi mar mite the
Sun lo ae haseeno, yeh humse ab na hoga
Aisa zakhm diya hai joh na phir bharega
Har haseen chehre se ab yeh dil darega
Hum toh jaan dekar yoon hi mar mite the
Sun lo ae haseeno, yeh humse ab na hoga
Aisa zakhm diya hai
Raseele honth, chalakte gaal
Mastani chaal bura karde haal
Palak bhadke ke dil dhadke
Umar ki uthaan, kadakti kamaal
Qatil adaa, zalim haya
Mere khuda, mere khuda
Shola badan, behka chaman, magar yaaron
Hum toh jaan dekar yoon hi mar mite the
Sun lo ae haseeno, yeh humse ab na hoga
Aisa zakhm diya hai
Raseele honth, chalakte gaal
Mastani chaal bura karde haal
Palak bhadke haaye ke dil dhadke
Umar ki uthaan, kadakti kamaal
Qatil adaa, zalim haya
Mere khuda, o mere khuda
Tu joh kahe toh taaron mein tujhe lekar chaloon
Tu joh kahe toh kadamo mein unhe la daal doon
Seene se lagake yeh badan kar doon gulaabi
Chehra choom karke main bana doon aftaabi
Hey ... hey ... la la la ... la
Hum toh jaan dekar tum pe mar mite hai
Kaun pyar tumse itna karega
Aisa zakhm diya hai joh na phir bharega
Har haseen chehre se ab yeh dil darega
Aisa zakhm diya hai
Aaya hoon yaaron dil apna leke
Aankhon mein chehra kisi ka leke
Koi na koi mera bhi hoga
Yahin pe kahin chupa hi hoga
Watch Video