Lyric4U
Aisa Kyun Hota Hai

Ishq Vishk

Watch Video
Lyrics
Mere dil ko yeh kya ho gaya
Main na jaanu kahan kho gaya
Kyun lage din mein bhi raat hai
Dhoop mein jaise barsaat hai
Aisa kyun hota hai baar baar
Kya isko hi kehte hai pyaar
Mere dil ko yeh kya ho gaya
Main na jaanu kahan kho gaya
Kyun lage din mein bhi raat hai
Dhoop mein jaise barsaat hai
Aisa kyun hota hai baar baar
Kya isko hi kehte hai pyaar
Ho sapne naye sajne lage
Duniya nayi lagne lagi
Pehle kabhi aisa na hua
Kya pyaas yeh jagne lagi
Madhoshiyon ka hai samaa
Woh jhukne laga aasmaan
Khamoshi bani hai zubaan
Chhede hai koi daastan
Dhadkan pe bhi chhaya hai khumaar
Aisa kyun hota hai baar baar
Haan aaine mein joh dekha tujhko
Aayi sharam aankhen jhuki
Dhak se mera dhadka jiya
Ek pal ko yeh saansein ruki
Ab choodi satane lagi
Raaton ko jagane lagi
Main yoon hi machalne lagi
Kuch kuch badalne lagi
Jaane rehti hoon kyun bekaraar
Aisa kyun hota hai baar baar
Mere dil ko yeh kya ho gaya
Main na jaanu kahan kho gaya
Kyun lage din mein bhi raat hai
Dhoop mein jaise barsaat hai
Aisa kyun hota hai baar baar
Kya isko hi kehte hai pyaar
Aisa kyun hota hai baar baar
Kya isko hi kehte hai pyaar
Watch Video