Affoo Khuda
Jab Jab Phool Khile
Lyrics
Affoo khuda!
Vaah vaah vaah vaah vaah vaah vaah
Is deewane dil ne kya jaadu chalaya
Tumko humpe pyar aaya pyar aaya
Oye humko tumpe pyar aaya pyar aaya
Affoo khuda!
Ae dil dena, yeh sach hai na
Ae dil dena, yeh sach hai na
Baat hai yeh aisi zamana nahi maanta
Baat hai yeh aisi zamana nahi maanta
Humko tumhara deewana nahi maanta
Na main gulshan, na main taara, na main kajal, na main baadal, main hoon saaya
Ho tumko humpe haaye pyar aaya pyar aaya
Affoo khuda!
Jee diya maine, jee liya maine
Jee diya maine, jee liya maine
Ab chahe mujhko zamana goli maar de
Ab chahe mujhko zamana goli maar de
Raja ke shikare ko bhanwar mein utaar de
Aage jeeke kya lena hai, mere dil ne joh bhi maanga tha woh paaya
Tumko humpe pyar aaya pyar aaya
Affoo khuda!
Dil mein yeh aayi deke duhaai
Dil mein yeh aayi deke duhaai
Pattharo se sar takraun main deewana
Pattharo se sar takraun main deewana
Jal jaaun banke shamma ka parwana
Marna jeena, khana peena, hasna rona, nahana dhona, sona uthna, chalna phirna, aana jaana, hum deewane ne mohabbat mein bhulaya
Humko tumpe pyar aaya pyar aaya
Humko tumpe haaye pyar aaya pyar aaya
Affoo khuda!
Watch Video