Lyric4U
Achha Lagta Hai

Aarakshan

Watch Video
Lyrics
Jhatak kar zulf jab tum tauliye se baarishen azaad karti ho
Achha lagta hai
Hila kar honth jab bhi haule haule guftagu ko saaz karti ho
Achha lagta hai
Khushboo se behlao na
Seedhe point pe aao na
Aankh mein aankhen daalke keh do
Khwaabon mein tehlao na
Zara short mein batlao na
Seedhe point pe aao na
Seedhe point pe aao na
La la la ... la la la
La la la ... la la la
Alag ehsaas hota hai
Tumhare paas hone ka
Sarakti sarsarahat ki nadi mein
Reshmi lamhe bhigone ka
Zara sa modkar gardan jab apni hi ada pe naaz karti ho
Achha lagta hai
Lafzon se behlao na
Jhoothi moothi behkao na
Haathon ko haathon mein leke
Woh teen shabd tapkao na
Zara short mein batlao na
Seedhe point pe aao na
Haan seedhe point pe aao na
Woh tere dhyaan ki khushboo
Main sar tak odh leta hoon
Bhatakti saans ko teri gali mein
Gungunane chhod deta hoon
Tum apni khidkiyon ko kholkar jab bhi naye aagaaz karti ho
Achha lagta hai
Ho gali gali gali gali gali gali bhatkao na
Ghadi ghadi uljhao na
Senti ho main jaan gayi hoon
Action bhi dikhlao na
Zara short mein batlao na
Seedhe point pe aao na
Ho seedhe point pe aao na
Ho seedhe, ho seedhe
Ho seedhe point pe aao na
La la la ... la la la
La la la ... la la la
Watch Video