Lyric4U
Abhi Mujh Mein Kahin

Agneepath (2012)

Watch Video
Lyrics
Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan is lamhe mein hai
Yeh lamha kahan tha mera
Ab hai saamne isse chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Ho abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Ho dhoop mein jalte hue tann ko
Chhaya pedh ki mil gayi
Ruthe bache ki hansi jaise
Phuslane se phir khil gayi
Kuch aisa hi ab mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke purane zakhm pe marham laga sa hai
Kuch aisa reham is lamhe mein hai
Yeh lamha kahan tha mera
Ab hai saamne isse chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Dor se tooti patang jaisi
Thi yeh zindagani meri
Aaj hoon kal ho mera na ho
Har din thi kahani meri
Ek bandhan naya peeche se ab mujhko bulaye
Aane wale kal ki kyun fikar mujhko sata jaaye
Ik aisi chubhan is lamhe mein hai
Yeh lamha kahan tha mera
Ab hai saamne isse chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Watch Video