Abhi Abhi
Jism 2
Lyrics
Abhi abhi toh mile ho
Abhi na karo chhootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi roothne ki baat
Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi na karo mooh chupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jaane ki baat
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Teri baazuon mein meri chahatein samaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaye
Teri khwaishon se meri khwaishein riha hai
Teri karvaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon, kya junoon humnawa
Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamane ki baat
Abhi abhi baatein ruki hai
Abhi abhi dohrane ki baat
Abhi abhi aawaargi aayi
Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jaane ki baat
Woh subah toh bewajah ho
Ke guzre bin tumhare jiski raat
Woh subah toh bewajah ho
Ke guzre bin tumhare jiski raat
Teri baazuon mein meri chahatein samaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaye
Teri khwaishon se meri khwaishein riha hai
Teri karvaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon, kya junoon humnawa
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Watch Video