Ab Tumhare Hawale Watan Saathiyon
Haqeeqat (1964)
Lyrics
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Saans thamti gayi, nabs jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar humare toh kuch gham nahi
Sar Himalay ka humne na jhukne diya
Marte marte raha baankpan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Zinda rehne ke mausam bahut hai magar
Jaan dene ki rut roz aati nahi
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawani joh khoon mein nahati nahi
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Raah qurbaaniyon ki na veeraan ho
Tum sajate hi rehna naye kaafile
Fateh ka jashan is jashan ke baad hai
Zindagi maut se mil rahi hai gale
Baandh lo apne sar se kafan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kheench do apne khoon se zameen par lakeer
Is taraf aane paye na Ravan koi
Todh do haath agar haath utne lage
Chhune paye na Sita ka daaman koi
Ram bhi tum, tum hi Lakshman saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tann saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Ab tumhare hawale watan saathiyon
Watch Video