Aaye Tum Yaad Mujhe
Mili
Lyrics
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Khushboo laayi pawan, mehka chandan
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Jis pal naino mein sapna tera aaye
Us pal mausam par mehndi rach jaaye
Aur tu ban jaaye jaise dulhan
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Jab main raaton mein taare ginta hoon
Aur tere kadamo ki aahat sunta hoon
Lage mujhe har taara tera darpan
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Har pal mann mera mujhse kehta hai
Jiski dhun mein tu khoya rehta hai
Bhar de phoolon se uska daaman
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Khushboo laayi pawan, mehka chandan
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Watch Video