Aaya Aaya Atariya Pe Koi Chor
Mera Gaon Mera Desh
Lyrics
Aaya aaya atariya pe koi chor
Aaya aaya atariya pe koi chor
Aaya aaya ... pe koi chor
O bhabhi aana deepak jalana
O bhabhi aana zara deepak jalana
Dekhun balam hai ya koi aur
Dar gayi main, re mar gayi main
Ke aaya aaya atariya pe koi chor
O bhabhi aana deepak jalana
O bhabhi aana zara deepak jalana
Dekhun balam hai ya koi aur
Dar gayi main, re mar gayi main
Ke aaya aaya atariya pe koi chor, aaya aaya
Mann upar neeche
Khidki ke peeche
Akhiyon ko meeche
Baithi main sochun saanwri
Ibh ka karun main baanwri
Bairi balam ho toh chup rahoon main
Bairi balam ho toh chup rahoon main
Duja koi ho macha doon main shor
Aaya aaya atariya pe koi chor, aaya aaya
Dhokha khaya hai
Jee ghabraya hai
Koi aaya hai
Raina mein naina jag gaye
Angana mein kangana baj gaye
Main naachi aise kathputli jaise
Main naachi aise kathputli jaise
Na jaane kheenchi yeh kisne dor
Aaya aaya atariya pe koi chor, aaya aaya
Raina matwaari
Kaari kajraari
Daiyan main haari
Deta dikhai kuch nahi
Chup na gaya ho woh kahin
Ghar mein chupa ho toh jayega pakda
Ghar mein chupa ho toh jayega pakda
Mann mein chupa toh phir kya hai zor
Aaya aaya atariya pe koi chor
Aaya aaya ... pe koi chor
Aaya ... atariya ... chor
Aaya aaya atariya pe koi
Dar gayi main, re mar gayi main
Watch Video