Aao Na
Kyun Ho Gaya Na
Lyrics
Goonji si hai sari fiza jaise bajti ho shehnaiyan
Leherati hai mehki hawa gungunati hai tanhaiyan
Sab gaate hai, sab hi madhosh hai
Hum tum kyun khamosh hai
Saaz-e-dil chhedo na, chup ho kyun gaaon na
Aao na, aao na, aao na, aao na
Tann mann mein kyun aise behti huyi thandi si ik aag hai
Saanson mein hai kaisi yeh raagini, dhadkan mein kya raag hai
Yeh hua kya humein humko samjhao na
Yeh hua kya humein humko samjhao na
Sab gaate hai, sab hi madhosh hai
Hum tum kyun khamosh hai
Dil mein joh baatein hai hothon pe laao na
Aao na, aao na, aao na, aao na
Ab koi doori na uljan koi, bas ek ikraar hai
Ab na kahin hum na tum ho kahin, bas pyar hi pyar hai
Sun sako dhadkane itne paas aao na
Sun sako dhadkane itne paas aao na
Sab gaate hai, sab hi madhosh hai
Hum tum kyun khamosh hai
Ab mere sapno pe tum hi tum chhaho na
Aao na, aao na, aao na, aao na
Goonji si hai sari fiza jaise bajti ho shehnaiyan
Leherati hai mehki hawa gungunati hai tanhaiyan
Sab gaate hai, sab hi madhosh hai
Hum tum kyun khamosh hai
Saaz-e-dil chhedo na, chup ho kyun gaaon na
Aao na, aao na, aao na, aao na
Watch Video