Lyric4U
Aakhri Salaam

De De Pyaar De 2

Watch Video
Lyrics
Kahin toh mile woh raahatein jahan koi gham na ho
Bin baat ke jahan meri aankhen bhi namm na ho
Kahin toh mile woh raahatein jahan koi gham na ho
Bin baat ke jahan meri aankhen bhi namm na ho
Dil bhar gaya mujhse tera
Yeh jaanta hai dil mera
Kuch reh gaya ho toh bol do
Khamoshiyan sab tod ke
Joh dil mein hai sab bol ke
Haan keh raha hoon alvida
Main tujhe aakhri salaam karta hoon
Khud se bhi zyada pyar karta hoon
Meri jaan tujhpe nisaar karta hoon
Main tujhe aakhri salaam karta hoon
Alvida alvida kehne ki himmat juta li hai
Jahan teri yaadein na ho woh duniya bhi saja li hai
Alvida alvida kehne ki himmat juta li hai
Jahan teri yaadein na ho woh duniya bhi saja li hai
Mere baare mein sochogi kabhi aankhen phir bhar aayengi
Maangogi khuda se wapas mujhko tum lekin phir na paaogi
Main lada tha khuda se tujhe paane ke liye
Phir lada main ussi se bhulane ke liye
Mere baad mein jise chahogi
Dil uska toh na dukhaogi
Main seh gaya, kya woh seh lega
Khamoshiyan sab tod ke
Joh dil mein hai sab bol ke
Haan keh raha hoon alvida
Main tujhe aakhri salaam karta hoon
Khud se bhi zyada pyar karta hoon
Meri jaan tujhpe nisaar karta hoon
Main tujhe aakhri salaam karta hoon
Tu safar mein kyun mila
Zindagi ka gham yehi hai
Phir kabhi joh jud na paaye
Itne toote hum nahi hai
Humse jhoothe woh sahi hai
Par bewafa woh nahi hai
Jitna humko maante hai
Utne jhoothe hum nahi hai
Alvida alvida kehne ki himmat juta li hai
Jahan teri yaadein na ho woh duniya bhi saja li hai
Alvida alvida kehne ki himmat juta li hai
Jahan teri yaadein na ho woh duniya bhi saja li hai
Watch Video