Aaja Re Pardesi
Madhumati
Lyrics
Aaja re pardesi
Main toh kab se khadi is paar
Yeh akhiyan thak gayi panth nihaar
Aaja re pardesi
Main toh kab se khadi is paar
Yeh akhiyan thak gayi panth nihaar
Aaja re pardesi
Main diye ki aisi baati
Jal na saki joh bujh bhi na paati
Main diye ki aisi baati
Jal na saki joh bujh bhi na paati
Aa mil mere jeevan saathi
O aaja re main toh kab se khadi is paar
Yeh akhiyan thak gayi panth nihaar
Aaja re pardesi
Tum sang janam janam ke phere
Bhool gaye kyun sajaan mere
Tum sang janam janam ke phere
Bhool gaye kyun sajaan mere
Tadpat hoon main saanj savere
O aaja re main toh kab se khadi is paar
Yeh akhiyan thak gayi panth nihaar
Aaja re pardesi
Main nadiya phir bhi main pyaasi
Bhed yeh gehra baat zara si
Main nadiya phir bhi main pyaasi
Bhed yeh gehra baat zara si
Bin tere har saans udaasi
O aaja re main toh kab se khadi is paar
Yeh akhiyan thak gayi panth nihaar
Aaja re pardesi
Watch Video