Lyric4U
Aaj Phir Jeene Ki Tamanna Hai

Guide

Watch Video
Lyrics
Kaanton se kheench ke yeh aanchal
Todke bandhan baandhi payal
Ho koi na roko dil ki udaan ko
Dil woh chala aa aa aa
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Apne hi bas mein nahi main
Dil hai kahin toh hoon kahin main
Ho apne hi bas mein nahi main
Dil hai kahin toh hoon kahin main
Ho jaane kya paake meri zindagi ne
Hanskar kaha ha ha ha
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Main hoon gubaar ya toofan hoon
Koi bataye main kahan hoon
Ho main hoon gubaar ya toofan hoon
Koi bataye main kahan hoon
Ho dar hai safar mein kahin kho na jaaon main
Rasta naya aa aa aa
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Kal ke andheron se nikal ke
Dekha hai aankhen malte malte
Ho kal ke andheron se nikal ke
Dekha hai aankhen malte malte
Ho phool hi phool zindagi bahaar hai
Tay kar liya aa aa aa
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Aaj phir jeene ki tamanna hai
Aaj phir marne ka irada hai
Watch Video