Aadmi Jo Kehta Hai
Majboor
Lyrics
Kabhi sochta hoon ke main kuch kahoon
Kabhi sochta hoon ke main chup rahoon
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hai
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hai
Aadmi jo deta hai, aadmi jo leta hai
Zindagi bhar woh duayein peecha karti hai
Koi bhi ho har khwaab to sacha nahi hota
Koi bhi ho har khwaab to sacha nahi hota
Bahut zyada pyar bhi acha nahi hota hai
Kabhi daaman chhudana ho, to mushkil ho
Pyar ke rishte toote to, pyar ke raste chhute to
Raaste mein phir wafayein peecha karti hai
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hai
Kabhi kabhi mann dhoop ke karan tarasta hai
Kabhi kabhi mann dhoop ke karan tarasta hai
Kabhi kabhi phir jhoom ke sawan barasta hai
Palak jhapke yahan mausam badal jaye
Pyaas kabhi mit'ti nahi, ik boond bhi milti nahi
Aur kabhi rim jhim ghatayein peecha karti hai
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hai
Aadmi jo deta hai, aadmi jo leta hai
Zindagi bhar woh duayein peecha karti hai
Watch Video