Lyric4U
Aadha Ishq

Band Baaja Baaraat

Watch Video
Lyrics
Namkeen si baat hai har nayi si baat mein
Teri khushboo chal rahi hai joh mere saath mein
Halka halka rang beete kal ka
Gehra gehra kal ho jayega, ho jayega
Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega
Kadmo se milon ka waada ho jayega
Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega
Kadmo se milon ka waada ho jayega
Beshumaar raatein, behisaab baatein
Paas aate aate gum ho jaati hai
Bekhudi mein dhalke, bekali mein jalke
Sau hazar yaadein nam ho jaati hai
Feeka feeka pal beete kal ka
Mehka mehka kal ho jayega, ho jayega
Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega
Kadmo se milon ka waada ho jayega
Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega
Kadmo se milon ka waada ho jayega
Aadha ishq ... aadha ishq ... aadha ishq
Intezar sa hai, imtihan sa hai
Itminaan sa hai, kya hai na jaane
Itna nahin hai, ibtida hui hai
Inteha huyi hai kaise na jaane
Chalka chalka pal beete kal ka
Thehra thehra kal ho jayega, ho jayega
Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega
Kadmo se milon ka waada ho jayega
Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega
Kadmo se milon ka waada ho jayega
Aadha ishq
Watch Video